Sunday, October 3, 2010

Desh ki Shan Rashtramandal Khel

Aaj se shuru ho rahe rashtramandal khel bharat ki shan me char chand lagane ko aatur he jab aaj sham inka shubharambh hoga to sari duniya bharat ki ekta aur akhandta ka anutha udahran dekhegi is shuruat se humain apni sanskritik dharohar ko sare vishwa ke samne lane ka ek swarnim awsar he jisme humare desh ko jahan ek jahannayi pehchan milegi is bhavya aayojan ke liye dilli aur dilli ke  niwasi pure josh se taiyar he aaj ka din hum sabhi ke liye gaurav ka din he in khelon ne desh ki pragati ko naye aayam diye he jahan ek or desh ki rajdhani mevikas ki nayi ibarat likhi gai wahi dusri or dilli me metro ke vistar ne dilli me nayi kranti la di wo bhi transport ke madhyamon me jisne dilli ko sasta sulbh saral transport diya aaj dilli wasiyon ko trafic ki pareshni se nijat dila di isse juda ek or naya madhyam he ac non ac low flor buses jo yatriyon ke liye ek nayi suvidha di hedilli me flyovrs nebhi trafic ki dikkat kam ki he issi wajah se dilli aur rashtriya rajdhani chhetron me travling aasan ho gayi he aaj hum noida gurgaon ka ghanto ka safar minto me tay kar rahe he yeh kisi bhi chamatkar se kam nahi he is aayojan se hum apne desh ke gaon ke vikas ke liye bhi videshi mudra ka bhi prayog kar payengejahan tak aayojan ki safalta ka sawal he uske liye hum sabhi ka sahyog sarvopari he akhir is aayojan ne hume vishwa me apni chhavi ko nikharne ka behetrin mauka diya hewastav me humar chhavi vikasshil desh ke roop me he jise badalne me yeh bada sahyog karega waise bhi nuclear deal aur humari polisiyon ne dusre deshon ke samne humari sakh ko badhaya he hum sabhi deshon ke sath rishton ke naye marg prashast kiye he aise aayojan in rishton me ek nayi kadi jodne ka madhyam  banege aaj se 14 october tak sabhi 71 deshon ke khiladiyon ke sath sath anya deshon ke atithiyon ki agwani ke liye dilli hi nahi pura desh palak pavde bichakar intzar me he kyunki is aayojan ki safalta hume OLYMPIC jaise aayojan ki mejbani dilane me badi bhumika nibhayega ek bhartiya nagrik hone ke nate humara farz banta he ki hum apne ATTITHI DEVO BHAV KI Prampara ko sakar kareaur desh ke samman ko badhaye ye na soche ki atithi ka swagat karnna kewal dilli sarkar ya kendra sarkar ki jimmedari he balki hum bhi unke sahyogi haath bane taki jab humare attithi lautkar apne desh wapas jaye to sunehri yaadon kaek aisa khazana le kar jaye jo unhe bharat baar baar aane ki prerna de wo khud  to aaye hi aur anya deshon ke logon ko bhi bharat bhraman ko prerit kare aaj hum sabhi ye pran kare ki aa is tarah ke aayojan me saathi bankar swayam ka desh ka maan badhaye waise bhi is samay mujhe PALASH SEN ke geet ki lines yaad aa rahi he " Ye sheher meri jaan, iska naam hai meri pehchaan  Meri saanson mein basaa, iss hava ka nashaa Mera dil, mera pataa, meri shaan,Dilli hai meri jaan… Dilli hai meri jaan.. "

सुरंजनी पर आपकी राय